A brief summary on the icse story "KAKI".Please Answer!!!!
Answers
Answered by
8
" KAKI " Kahani Siyaramsharan Gupt ne likhi hai. Iss kahani mein Uma aur
visveshvar ke putra shyamu ke baal manovigyan ko chitrit kiya gaya hai.
Jab veh apni maa ko jamin par kambal oode hue dekhta hai toh veh bahut
darr jata hai ki uski maa naa jaane jamin par kyun lete hui hain. Baad
mein sabhi bade uski maa ko shamshan ghat lekar chale jaate hain. veh
apni maa ko bahut yaad karta hai aur ek din aasman mein dekh raha hota
hai , achanak se veh ek udti patang ko dehkar bahut khush ho jata hai.
Phir veh apne humumra dost bhola ko ek patang aur rassi lane ko kehte
hai. Iss dooran veh apne pita ke coat se kuch paise churata hai. Baad
mein jaise hi visveshvar ko yeh pata chalta hai toh vo uske bahut saare
tamache jadd deta hai. Aakhirkar veh samajh jaata hai ki yeh paiso ki
chori ek patang ke liye ki jaati hai jo uski maa ko aasman se niche
jamin par utaar sakti thi.
HOPE IT HELPED.. :))
HOPE IT HELPED.. :))
Similar questions