Hindi, asked by bittu195, 1 year ago

Akbar aur Birbal Ka Ek Kissa Hindi mai

Answers

Answered by Sangeeta1964
1
Akbar Raja they aur Birbal unka mantri,lekin Birbal raja se jyada samajhdar thaa.raja ke man mein hamesha ye baat rahti thee ki Birbal ko kisi prakar neecha dikhaya jaye.ek baar raja ko Birbal ke kisi baat par gussa aa gaya aur usne Birbal ko raat bhar talab ke thandhe pani mein khade rahne ki saza sunayi.Birbal jis taalab mein khada thaa wahan khambhe ke upar ek bulb jal raha thaa.Birbal ne use dekhkar puri raat kaat di. Subah raja ne poocha raat kaisi kati to Birbal ne jawab diya huzur pani to bahut thandha thaa par Maine khambhe se lage bulb ko dekhkar raat kaat li.ye sunkar raja bola tunhari saza puri nahi huyi tumko to thandhe pani mein rahna thaa lekin tumko to bulb se garmi milti rahi.tumko phir se saza di jaati hai, aaj khane mein khichdi tum banaoge.Birbal ne kahan manjoor hai.phir Birbal ne chawal dal ko ek thaili mein bhandh kar khambhe ke paas rakh diya aur bola khichdi ban jayegi .raja bola aise nahi ban sakti to Birbal bola jab main tandh se Bach Santa hoon to khichdi bhi pak jayegi.raja samajh gaya ki Birbal apni hoshiyari dikha raha hai ,usne Birbal ko maaf kar diya




Similar questions