Hindi, asked by dhpethkar, 1 year ago

Beti Bachao beti padhao vichar Manthan

Answers

Answered by Anonymous
2

                              BETI BACHAO BETI PADHAO        

Aaj ek badlav ki lehar chal padi hai.Sadiyon se chali aa rahi kuprathaon ke karan mahilaon ne bohot dukh jhele hai.Unke jeevan aur unki bhavnaon ka kuch moolya hi nhi ho jaise.Sadiyon pehle Sati pratha ke angat mahilaon ko bachon samet unke pati ki chita ke sang isliye jala diya jaata tha kyunki logon ko lagta tha ki mahila ke vidhwa hone per uske jeevan main ab kuch shesh nhi reh gya.Wo apne bacchon ka lalan palan nhi ker paayegi kyunki wo padhi likhi nhi hai usse na padhne ki ijazat hai na naukri karne ki.Raja Ram MOhan Roy ne Sati pratha jaisi ghinauni pratha ko rukwaya.

Aaj mahilayein jeevan main aage badh rahi hain.Videsho main to mahilayein NASA jaisi sansthaon main bhi kaam kerti hain.Hamare desh main bhi kayi mahilayein Doctor,scientist engineer hain.Magar her mhila ko itne mauke nhi milte.Unke padhne aur  aage badhne ke sapne ko kuchal diya jaata hai.Aaj samay ke saath mahiyon ke saath hone walle apradh bhi badhe hain.Darr ke karan mata pita betiyon ki padhai aur job hataer unki shaadi kara dete hain aur sasuralwale bhi unhe career main aage nhi badhne dete.

Isiliye aaj humein is zulm ke khilaaf aawaz uthani hogi.Sarkar ko apradhiyon ko rokna hoga na ki betiyon ko.Betiyon ko padhkker career banane ko fir jab wo kuch ban jayein tab shadi karein taaki wo aatmnirbhar bann sakein                            

Similar questions