Art, asked by pranayrock724, 1 year ago

Bharti Loksankhya Shap Ki Vardan​

Answers

Answered by milkydhaliwal
0

Dinodin badhti jansankhya nishchay hi chinta ka vishya hai.Aisa isliye bhi hai kyunki hamare pass itne saadhan nhi hain ki sabhi logon Ko poore padein.Bharat main Abhi bhi bohot log poverty line se niche hain.Bharat ka ek bada berg berozgaar hai.Wo log apni rozmarra ki zarooratein bhi poori nhi ker paste hain.Aise main jansankhya ka badhna ek chinta ka vishya hai.

Yadi sarkar jansankhya rokne ke liye koi kadam nhi uthayegi to aanewale samay main hum agli peedhi ke liye kya Sadhan bacha sakenge.Aaj humein Desh main badhti mehngai aur berozgari Jaisi pareshaniyon ke liye kadam uthane honge.

Yadi humein lagta hai ki sarkaar mehngayi,gareebi aur berozgari Jaisi samasyaon se nibatne main Balaam hai to humein yeh nishchay karna hoga ki her parivaar do bachhon se zyada paida nhi karega.Yeh Hamari ore se Desh ke liye ek badi madad hogi.

Similar questions