Hindi, asked by Anonymous, 1 year ago

big story on helping old people in hindi?

Answers

Answered by kaushikravikant
2
Bujurg log ghar ki shaan hote hai,unke bina ghar ghar nhi rehta hai.koi bhi parivar tab pura hota hai jab uss parivar mei koi bujurg hota hai.Bujurg log ko har chiz ka achhe se tajurba hota hai wo hamei sahi or galat dono ke baare mei samjha sakta hai.wo gyan ka bhandaar hota hai,bujurg log apne purane tajurbe se apne parivar ko mehfuuj rekhta hai.

  pehle maa baap bacho ko bade pyar se palte hai,padhate hai orr sab kuch samjhate bhi hai.orr uss time bachha sab kuch samajh bhi jata hai kyonki uss time na to bachhe ke mann mei koi swarth hota hai or na hi maa baap ke man mei.wo apne maa baap ka harr kehna manta,usse us samah apne maa baap  sabse achhe or kimti lagte hai.par jaise jaise wo bda hota hai usse ghar bar ki chinta hota hai,wo apne maa baap se baat karne mei bhi sarmata  hai,orr har chize mei kehta hai ki ye pidhi(generation) gapp hai.wo apne maa baap ko chod deta hai

lekin maa baap to maa baap hi rehte hai na,unhe to pta hai ye jo bhi karr rha wo unhi ka hi bachha hai,wo bhi nadan hai.log unki seva karna chod dete hai kyonki bujurg log puri tarah se majboor ho jata hai.

Hamein bujurg logo se saath iss tarah ka bartav kabhi nhi karna chahiye aakhir wo hamare purvaj(forefather) to hai,kissi na kissi ke to maa baap hai.hamei un ki seva karni chahiye.jiss tarah bujurg log apne bachho ki sewa bachpan(childhood) mei karte the ,hamein bhi un ki sewa bina kissi swarth ke karni chahiye..
Aaj kal log bde bde mandiro(temple) mei daan karte hai lekin  bujurgo ki sewa nhi karte.log punya kamane ke liye dharmik jagah (holy place) par jaate hai,lekin bujurgo ko ghar ka kachra  (wastage)     samajhte hai.

 Hamei Bujurgo ke sath pyar se pess (present) hona chahiye.wo hamei apne tajurbo or aap bitti se hamko surakhsit (safe) rakhte hai.unke sath bachho ki tarah pess aanachahiye
orr kissi mahan kavi ne kha bhi hai
woo ghar ghar nhi....
jismei koi bujurg nhi....

Anonymous: superb!!!!!!!!!!!!!!1
kaushikravikant: thankyou
Similar questions