Hindi, asked by bijaylaxmiparida1080, 6 days ago

class 7 hindi GRAMMAR plz say correct answer ​

Attachments:

Answers

Answered by blackdiamondindustry
1

Answer:

I know this this is in my hw I am writing now

Answered by nandnisingh078
4

Answer:

a- apne mann ke bhavo aur vicharo ko bolkar,likhkar ya padhkar prakat krne ke sadhan ko bhasha kehte hai

b- bhasha ke sirf do roop hote hai- likhit aur maukhik

likhit- bhasha ka vah roop jisme vyakti apne mann ke vicharo ko likhkar samjhata hai use likhit bhasha kehte hai.udaharan- patra,jivni

maukhik- bhasha ka vah roop jisme vyakti apne mann ki baat ko bolkar prakat krta hai vah maukhik bhasha kehlati hai.

c- rashtrabhasha- vah bhasha jo pure rastra dwara boli aur samjhi jati hai use rastrabhasha kehta hai.

boli-boli bhasha ka sbse chota swaroop hota hai aur simit hota hai.boliyo ke samuh se hi upboli banti hai.

d-lipi aur bhasha do alag -alag chize hai.bhasha vo chiz hoti hai jo boli jati hai.likhne ko to use kisi bhi lipi me likh skte hai.kisi ek bhasha ko uski samanya lipi se dusri lipi me likhna ,es tarahki vastavik anuvad na hua ho ese lipyantaran kehte hai.

e-vyakaran ki avasyakta aur upyogita kisi ke bhasha ke sahi aevam sarthak roop ko bnaye rakhne ke liye hai. jab ham vyakaran padhte hai to vyavhar me iska prayog kr boli athva bhasha ko aur bhi adhik parishkrit ,samvedanshil,bhavpurn,ardhpurn tatha trutiheen bna dete hai.

Explanation:

it u love it...mark me as brainliest , follow and five 5 star rating ,like too

Similar questions