Hindi, asked by Anonymous, 1 year ago

"Dishaheen yuva varg"par nibandh likhe.(In Hindi) plzzzzzzzzzzz.......I need this now very urgent!

Answers

Answered by shikha10
65
Kisi bhi rashtra ya samaj ki tarakki khaas taur par yuva-peedhi ki tarakki par nirbhar hoti hai. Yuvaon ka aachran, unke vichaar, unka uchch shikshit aur karyashel hona hi unhe vikas ke path par agrsit karta hai.yuva peedhi ke aachran par hi samaj ki pragati nirbhar hoti hai. Lekin kya aaj ke yuvaon urja aur srijansheelta tarakqi ki disha me agrsar hai?

Aaj ke yuva kewal khud ke baare me, apne affair, nirasha aur apne such-dukh ke bare me hi sochte hain, lekin apne maata-pita aur samaj ki aur apni zimmedariyon par gaur hi nahi karte. Khud se hatkar parivaar aur samaaj ko bhi dekhna shuru Karen to hum paayenge ki parivaar aur samaaj ko bhi unse achchhe bartav ki chahat hai.usparivaar  ki aur bhi apne kartavye nazar aayenge.

Sabse pahle yuva-varg ko khud ke vayaktive ka vikas karna chahiye.is baat ko lekar kai baton ka samavesh use hi apne jeevan mein karna zaroori hota hai.bachchon mein shuru se hi yeh bhavna ho-hume humare maata-pita ne paalan-poshan kar bada kiya hai aur shiksha dilaai hai aur maata-pita ko ambhaalne ki zimmedaari humari hai.yah kaarye hume kartave se karna chahiye,is baat ko man hi man tay kar lena chahiye..

Apne parivaar se hume jeevan ko aadarsh banana ki parerna milti hai.parivaar ko hi aadarsh naagrik jeevan ki paadhshaala kaha gaya hai.aaj bhhotikta ki daud mein maata-pita hi apne bachchon ke saamne kisi tarah ka aadarsh upisthit karne mein asafal ho rahe hai.

Yuva ko Aaj aur apne college mein apne aachran ke lie jagah banani hoti hai isliye doosron ke saath maitripoorn vayvahaar,vavahaar mein shalinta aadi aise gun hai jo use aur logon ke beech mein parthishthit aur lokpriye banate hai………

Kuchh bachche college mein paunchkr apne aap ko savtantar samajhne lagte hain aur is savtantrta ka wo log poori tarah faayeda aur aanand uthhane ka paryatan karte hain aur aise yuvaaon ke liye college aane ka uddshye gone ban jaata hai.

Kuchh yuva prem karne ko bhi college jeevan ka ek zaroori uddeshye samajhte hai.prem karna koi buri baat nahin hai lekin yah bhi zaroori hai ki prem-sambandho ka padhai par koi parbhav na padha aur aage carrier ke marg mein baadha ban sakta hai.pyar ke liye to baad  bhi samay mil sakta haii,lekin padhaai aur sunhare bhavishye ke nirmaan ke liye jo mauka college jeevan mein milta hai baar-baar milne wala nahin hai.

Yuva hi vah shakti hai jo 1 budhdhiwadi aur sudardh samaj ki rachna kar sakti hai.apna bachpana,mauj-mast,maansk aprpkvta aad se per thhkr yuvaon ko chahye k khud apne uttardaaytvon ko samjhen aur apne saath-saath apne samaaj ar desh ko bhi gauravshaali banayen…

 


shikha10: Mark as brainliest
shikha10: plzzzz
Anonymous: thnx.........
Anonymous: : )
Answered by santhi04
5
I hope it is useful to you
Attachments:
Similar questions