easy on kiskisi aitihasik sthan ki yatra
Answers
Answered by
1
. qutubb minar bharat ke itihaas ka ahem hissa hai. woh dilli ke mehrauli kshetra mein sthaapit hai. yeh minar qutubuddin aybak dwaara,sann 1193 mein banaya gaya thaa.iski unchaai kareeb 75 meter hai. qutubb minaar bhaarat ka doosra sabsey unchaa minar hai.
kal main apney maata-pita ke saath qutubb minar gaya thaa.wahaan mujhe bahut mazaa aaya. maine wahaan ke bageeche mein thodi der khela. phir main apney maata pita ke saath qutubb minar gaya. qutub minar bahut lambaa hai. mere pitaji ne mujhe bataya ki qutub minar ka thoda hissa angrezon ney banaya thaa. wahaan bahut saare police afsar khadey the. meri maa ne bataya woh minaar ki hifaazat ke liye khade hai. woh ek bahut hi saaf-sutra sthaan thaa.
thodi der mein hamne ek bhojanalay mein bhojan kiya aur phir ghar ke liye ravaana ho gaye.main qutub minaar ko kabhi nahin bhooloonga. wahaan muje bahut mazaa aaya aur main wahaan phir sey zaroor jaoonga

Similar questions