Hindi, asked by dheerajsingh53, 1 year ago

ek phool ki chah kavita story me likho 250 words

Answers

Answered by prachi388
7
us kahani mein ek ladki hoti jiska naam tha sukhiya . uske gaon mein mahamari faeli hui thi isliye uske baapu hamesha use bahar jaane se mana karte par sukhiya unki ek na suntii aur bahar khelne chali jaati. uske bapu hamesha yahi sochte the ki kisi tarah se uski beti us mahamari ke prakop se bach jaaye.kuch dino ke baad wohi hua jiska dar tha . sukhiya ka badan bukhar se tapp raha tha.us bacchi sukhiya ne kaha ki usey kisi ka dar nahi hai. usey toh sirf devi maa ke prasad ka ek phool chahiye. dekhte dekhte sukhiya ki tabiyat kharab hoti jaa rahi thi. pahad ke choti ke upar ek vishaal mandir tha. mandir ka pura aangan dhoop aur deep se mehak raha tha. mandir ke bahar kisi utsav ka sa maahol tha. sukhiya ke pita sukhiya ke liye prasad ka phool lene mandir pahuche yeh jaante hue bhi ki unka mandir mein jaana varjit hai. pujari ne phool aur deep devi maa ko arpit kiye aur prasad diya. abhi veh dwaar tak pahucha hi nahi tha ki kisine awaaz lagai "arey yeh acchoot mandir ke andar kaise aa gaya. kisi ne uski ek na suni aur us par laate goonse barsane lage. ukse haath se prasad bikhar gaya. log usey pakadkar nyayallay le gaye. usey laga ki avashya hi usne devi ka apmaan kar diya hai. sukhiya ke pita ne apna apraadh svikaar kiya aur usey saat din jail mein rehne ki saza di gayi. saat din baad veh apni beti se milne ghar pahucha par waha koi na tha phir wo usse milne seedha samshaan pahucha jaha uski beti ka antim sanskar kiya gaya tha. veh apni beti ki raakh ke paas beth kar vilaap karne laga aur afsos karne laga ki apni beti ko antim baar apni godi mein na le saka.

dheerajsingh53: is it about 250 words?
prachi388: now ok
dheerajsingh53: thanks
Similar questions