Essay in hindi on topic मोदी -राष्ट्रीय नेता बनाम विश्व नेता
Answers
मोदी -राष्ट्रीय नेता बनाम विश्व नेता
Narendra Damodar Modi 17 september 1950 mai janme bharath ke 14 we pradhaanmantri hai. Pahli baar kisi party ne puran bahumat haasil kiy ahai 1984 k baad. Ye narendra modi ka hi kamaal tha ki aj desh mai ek isthir sarkaar hai aur log saant hai .Sabka saath aur sabka vikas ke vaade ke saath aaye Mr. Modi aj poore vishwa mai apne khas chavi ke liye jaane jaate hai . Sabse badi baat joki unko anya viswa netao se alag banati hai wo unki nirnay lene ki samta aur janata ka saath maangne ki saadgi . Note bandi jaise bade faisle kelar unhone poore sansaar ko bata diya ki bharat bhi nirany lene ki samta rakhta hai . Janta se bharpoor saath maag kr ye bhi bata diy aki sarkaar janta ki hai aur janta ke issaro par hi chalti hai . Brastachaar aur kale dhan ke muddo par unhone kisi kaa saath nhi diya . chaaye khud ki party ke naate naraz ho yaa vipaksh dawara bayana gya jhoota davwad . wo kisi kea age nhi jhooke . ye hi baat unke sviswa ke bade neta o ki pankti mai sabse aage khada krti hai . Aj bharat sabka dost hai a aur sabhi bade desh bharat se dosti krna chahte hai . Ye Narendra modi ki kootniti ka hi parinaam hai . Aj brand Bharat ko sab ijaat dete hai . sabhi Pravshi bhartiyo ne iss baat ko savikara hai aur samrthan bhi diya hai .Aj do desh aapas mai dusman hote hue bhi bharat ke dono dost hai ye badi baat hoti hai Vishwa rajniti mai . Pakistaan ko sade sabdo mai chetaavni dena wo bhi kisi vishwa manch se , ek himmat ka kaam hai . Unka saadhran jeevan aur dedaag chaavi unko rasidh aur priya banati hai . TIME patrika ne kai baar unko apne vibhiinn puruskaaro se nawaza hai . Wo bahut baar resaid netao ki soochi mai sabse upar bhi rahe hai . Sabhi Antrastriya neto se achhi dosti unko sabs eek kadam aage khada krti hai . Har jagah bharath ko hi prostsaahit krna aur bhartiyo ko viswa samaj mai ijaat dilane ki kala unhe desh ka sabse bada superstar banati hai .