Hindi, asked by dr6pretsHee, 1 year ago

Essay on "mere Pitaji".

Answers

Answered by monu7bishnoi
3
"Mere Pitaji "
Katahe ki aagar maa ka payaar  dharti ke jitna bada hai to pita ka bhi saath bhi saamaan jitni badi chhat hai . Ek maa 9 mahine pet mai rakhti hai  lekin ek pita apne bachho humesha apne dimaag mai rakhata hai . Jeevan ki har ueench neech ek pita ki anguli pakade paar ki jaa sakti hai .
Muje bhi khud par garv hai ki muje ek nek aur bahut achhe pita mile . Dhanyaawad deta hu bhagwaan ka ki muje itne samjdaar aur khyal rakhne wale pita diye . Mere papa bank manager hai aj unka janam din bhi hai . unhone humesha hume ek imaandaari aur bahaduri ki jindgi jeene ka paath padhaya . Unki di hui har ek sheek aur salah mere jeevan ka path pradrshit kr rahi hai . Jeenvan ke tanaav  aur har  din ki takleef ko door krne mai papa ke diye hue nuske hi kaam aate hai .Kis tarah unhone Yog aur Prarathna ka mahatav bataya aur wo hi humare jeevan ko adsaado ke andhre se door rakhe hue hae hai . Mere papa aaj bhii  har subah 5  baje uthate hai aur subah ke bharaman par jaate hai . Phir  akhbaar baar pathe hai aur hume bhi  batate hai ki aaj kya kya hua desh mai . humesha ek achha aur kabil naagrik banne ki  salah di . Desh aue us se judi har achhi baat pe hume garv ho ye hi bataya  aur buraaiyo se door rahna bataya . Kid tarah jab mai 10 class mai asafal hua to unhone hi mera manobal bdhaya aur dubarah neye aatamviswas ke saath mehnat krne ko kaha . kabhi kahbhi hume daante bhi hai jab hum maa ko bahut pareshaan kret hai yaa koi school se hamari sikayat aati hai to . jab koi school se koi padak milta hai to peeth  thapathap kar ke mithayi bhi khilate hai . Ishwar mere pita ko chiraayu aur achha sawasthya de humesha . 
Similar questions