Hindi, asked by Sakshijha, 1 year ago

Essay on prakarti ka Saundray

Answers

Answered by prakriti27
9
prakriti eshwar ki di hui anupam bhet hai. es den k sahare hi manushaya apna aastitva iss dharti par bna paya hai. prakriti ka roop manushya dwara nhi banaya gaya hai parantu wah swayam hi pal pal manushya ko apne saundarya se mohit karti aai hai. prakriti k vividh roop vishwa k kone kone me bikhre pade hai. iske upadan vriksh, jharne, pahad, badal, mausam, pasu-pakshi, hariyali, nadi samudra ityadi hai. inke karan hi iski chata har jagah alag alag aur abhootpurva hoti hai. yadi yh nhi ho to manushaya jeevan ko ji hi nhi skta hai. prakriti hamare jeevan ko kai roopo se sawarti aur hamara palan poshan karti hai. kaviyon ne prakriti k iss saundarya ko apni rachnao se aavashyak esthaan diya hai.

prantika2: ;-P
prakriti27: lekin iss question me prakriti ki spelling glt hai
prakriti27: ;)
prantika2: haan...prakriti ko 'prakarti' bana diya??!!!!
prakriti27: heheheheh
prakriti27: koi baat nhii
prantika2: hehehe
prakriti27: :P
prakriti27: :-P
prantika2: :-)
Similar questions