Hindi, asked by snephanuvaide, 1 year ago

Essay on samman purvak jina hi jina hai

Answers

Answered by monu7bishnoi
12
Samman Puravak jeena hi jina hai kyuki sachhe samman aur aadar se insaan koi  sachhi khusi hoti hai aur ek achhi neend aati hai raat ko. kyuki insaan ko savaym hi sabse jayda paat  hota hai kiwo kya hai kaisa hai . baimaani aur buri niyat ke saath jiya hua jeevan apko paise aur sansarik  shukh  to dila dega lekin sayad sachha samman nahi dila paayega .AJ ke yug mai hum dekshtehai ki log jhoota samaan pane ke liye kis hadd tak chale jaate hai ,isisliye pata chalta hai ki aadmi samman ka kitna bhuka hai . Ek saant aur grav bhara jeevan jeene ke liye sachha samman ek yog ki tarah hai . Jeevan bhar achhayi aur imaandaari ke path pe chal ke hi ye samman paya jaa sakta hai . kaha bhi jaat hai ki samaan arjit kiya jaat hai maaanga nahi jaata. Aur kisi achhi cheej ko arjit krne mai anushasan aur mehnat ki jarurat hoti hai . aaj ke lok lubhawane sansaar mai kab koi apni rah bhatak jaaye kah nhi  sakte .Iss jhoothi chamak damak ne kai gharo mai beiijati ka andhera kiya hai . Isaan san bhar ke faayde ke ke liye apna samman tak par rakh det ahai aur bhool jaata hai  ki samman hi sachhi mudra hai jo uske baudhaape mai kaam aayegi  jab log us se milne aayege  aur haal chaal poochenge . uski jeevan ka apne bachho udaharn denge . Achhaai aur bhalayi ki rah pe chalte rahiye , samman ke ujaale apke path humesha prakashman rakheneg !!
Similar questions