Hindi, asked by ayush115, 1 year ago

essay on saving of trees in hindi language

Answers

Answered by jatinbidhuri21
2
aaj ki duniya samasyaao se ghiri hui h.in samasyao m sabse badi samasya h praani, sansaar or vanaspati ke bich bigadta hua santulan.aabaadi ki is badothri ne is santulan ko bigaada h.or hamare liye swasthik or aarthik samasya utpaan kar di h..
janglo ke cut te rehne se manav-sabyata ko khatra paida ho gaya h.mausum m kafi parivartan aa gaya h.dharti ke kuch bhago m ya toh kai varsh tak ya toh sukha pad jaata h ya fir baad aa jati h.
van or paani akshay-stroth hote h,jb ye nhi hote toh sada behne wali naadiya such jaati h.baandho m paani ka sthar ghut jata h,bijli ka utpaadan ruk jata h or nehro m paani kum ho jata h..
is bhayanak stithi ko kum karne ke liye aabadi ko kum karne ke sath sath vriksharopan ke abhiyaan ko bhi yudh sthar par chalane ki bhi aavashyakta h.
vriksh naa keval dharti ko upjaau bnate h balki humare jivan m bhi chaitanya utpan krte h.yadi hum apni sabyata or sanskriti ki raksha karna chahte h toh hame na keval adhik se adhik vriksh  lgane chaiye balki apna palan-poshan or rakshan  bhi krna chaiye.

ayush115: thank you very much
Similar questions