Hindi, asked by mamal1gsppm, 1 year ago

Essay on vriksh lagao jeevan bachao in hindi

Answers

Answered by Chirpy
1

           vriksh hamari sbse amulya sampada hain. unhen dharti ka hara sona bhi kahte hain. ve manushya ke liye ek vardan hain. vruksh manav ko pratyaksh aur apratyaksh rup me jeevan pradan krte hain. ve oxygen utpnn krte hain jisse manushya shvas lete hain. vriksh carbon dioxide ka upbhog krte hain aur paryavaran ko svachch rkhte hain. ve varsha ke liye bhi upyogi hain.

          vriksh sirf  svaasthya ke liye hi nahi balki dhan prapt krne ke liye bhi atyant upyogi hain. ve hamen fal, masale, sabjiyan, aushadhi, pashuon ke liye chara, aur furniture va indhan ke liye lakdi pradan krte hain.

          is prakar ham dekhte hain ki vriksh lagakar ham ek hara bhara jeevan prapt kar skte hain aur jeevan ko bacha skte hain.





Similar questions