गरीबो की मदद के लिए अपनी छोटी बहन को पोत्साहित करते हुए पत्र
Answers
गरीबो की मदद के लिए अपनी छोटी बहन को पोत्साहित करते हुए पत्र
Priya Suman ,
Rangoli pratiyogita mai padak hasil krne par tumhe dhero badhaaiya.Tumne apne hunar se pariwaar ka naam poore jile mai roshan kiya, maa – papa ko tum par naaz hai . Aur ye achhi baat hai ki tumne apni jeet ki rakam se gareebo ke bachho ko notebook laa k di . jeevan mai mili safltaao ke prati hume sada anugrahit rahna chahiye . jab bhi tumhaare pass kuch jyadaa aaye to jisko jarurat ho usmai baant do . phir chaahe kapada ho yaa aanaaj . sab ek hi bhagwaan ki santaan hai . humne bhi iss naye saal par chawal aur kambaal gareebo mai baante . Tumne sabko notebook aur pen de kaar bahut achha kiya . gareeb k bachho ko bhi padhne ka saman hak hai . hume sadev jaruratmando ki madad ke liye tatpar rahna chahiye .
Tumhaare uttaam sawasthya aur lambe jeevan ki kaamnaao k saath
Tumhara
Bhai
Vikram