ghatna ka varan pashuo ka istemaal manoranjan ke liye kiya ho
Answers
pashuo ka istemaal manoranjan ke liye
Sardiyo ki ek saam ,main apne gaon mai parivaar ke saath ghoomne nilka .Bachhe bahut jid kr rhe the ki hume nadi dekhni hai jaha aap bahcpan mai nahate the aur wo jagah bhi jaha aap dadaji ke saath gai charate the . Hum sabhi jagah ghoomne ke baad gaon ke chouk par aake ruke kuch khaane peene ke liye . bachho ko chalte chalte pyaas aur thodi bhook bhi lagi thi . Bete bati ne daal ke bade bole dukaan mailk ko aur maine chai aur samosa ka liye bola . ladka bola sahib aadha ghnata lagega . maine poocha itna samay kyu to wo bola ki 200 samoso aur 5 kg bhujiya ka bola hai gaon ke mukhiya ne aaj . aage baat krne par pata chala ki kuch karyakram hai chouke pe adhhe ghante baad . maine bola lekin bachho ke liye to laa de kuch . To wo thodi der mai hi daal ke bade le aaya . Tamatar aur pudeene ki chatni ki khusbu bahut achhhi aur taaji lag rhi thi . Baat krene par ladke ne bataya ki yaha Bailo ki ladaayi ka karyakram hai . Dushara ke liye abhhi se abhyaash chal raha hai bailo ke maaliko ka . Har ravivaar hota hai . peechle ek maheene se .Gaon ke mukhiya bhi aate hai dekhne .Dushare ke din jeetne wale ko 5 hazar ka inaam hai .Dekhte hi dekhte 10 -12 bailo ki bheed lag gyi aur unke singo ke takraane ki aawaaj aane lagi . maine uth ke dekha to door chouk mai sab log gol ghere mai baithe the aur baari baari se apne bail ladne ke liye bhej rhe the . Ajeeb baat thi , bail jakhmi ho rhe the aur log taaliyaa aur citiyaa maar rhe the . Manoranjan ke liye itni krurta pahli baar dekhi thi . aaj tak to sirf TV par hi dekhi thi kahi Spain desh mai aisi ladaiyaa hoti hai .Par apne desh mai jaha bail aur gai kheti aur grahsthi ke saathi mane jate hai . waha ye barbarta bahut durbhagyapuran lag rahi thi .pata chala ki har roj 3-4 bail buri tarah jakhmi hote hai . unke singo mai kuch dhardaar dhaariye jaisa baandh diya jata hai . aur ladayi ke douraan wo ek dusre ko chot pahuchaate hai .Chai dekar ladka bola sahib ye bailo ko kuch khilaate bhi hai bhang jaisa aur bail bahak jaate hai . phir ghamaasan ladayi hoti hai . Maine soch ki jila prasasan aur mukhiya ji ko ek patra likhu kyuki aisi pashu krurta manoranjan ke liye bahut ghatak hai .Main chai aur samosa kha ke gambheer man se ghar ki taraf pariwaar ke saath badh gaya.