Science, asked by Anonymous, 10 months ago

Hello $pace lovers --

jesa ke hum sub jante hai atom ke 99.99996% jegehe khali hote hai.

kya ho agar ek atom ke 99.99996% khali jagehe bhar jaye or us atom ka mass kitna hoga .
or us atom ka behaviour kya hoga.

kya ho agar hum Matter ke 4th state plasma ko heat kar te rahe or plasma ke jo state melege quark- glucon plasma kya ho agar hum ese bhe heat kar de tab konsa matter hume melega .


strange matter yani perfect matter kya hai. uske density etne zyda kyu hote hai . wo etna perfectly stable kyu hai.

or strange matter kis kaam ata hai.

kya ho agar strange matter ek normal matter ke atom se collide ho jaye.

or kya ho agar strange matter hamare earth se collide ho jaye.

or kya ho agar strange matter hamare sun se collide ho jaye.

kya strange matter Etna khatarnak hai hamare puri universe ke keye. agar hai to kyu or nehi hai to kyu nehi hai.


only true space lover can answer.

if u don't know the answer please request to you leave this question.

don't copy from internet.


CoolestCat015: Great Question

Answers

Answered by Anonymous
11

Answer:

agar hum atom ke 99.99996 % khali jagehe ko fill kar de to atom ke andar jo saare particles hai wo ek dusre ke bohot close aa jainge .

or us atom ka mass bhe badh jaiga.

let me explain suppose ek 1 kg ka object hai normal matter wala . jiske atom ke 99.99996% jaegehe khali hai.

jub wo khali space fill ho jaige to us atom ka mass bhe badh jaiga or wo ek 1 kg ka object ka mass bohot zyda ho jaiga.

even uska weight earth jitna ho jaiga.

strange matter - let me explain

jesa ke hum sub jante hai supervnova explosion ke baad Neutron star form hota hai. wo neutron star size me chota hota hai par mass uska zyda hota hai.

uske jo Andar ka space hota hai atoms ka wo ek dusre ke bohot close hota hai.

scientist ye mante hai ke strange matter Neutron star ke andar bhe present ho skta hai.

agar hum plasma ke quark glucon plasma ko heat kare to wo strange matter me convert ho skta hai.

strange matter es leye Etna perfect or stable hai becoz uske atoms ek dusre se bohot close hai .or uska mass bhe bohot zyda hai becoz uske andar koi bhe space khali nehi hai.

agar stange matter ke 1 bhe drop kisi object pe pad jaye to wo us object ko bhe strange matter me convert karne lagega.

or us object ka mass bhe bohot zyda ho jaiga.

starnage matter ke density bohot zyda hote hai.

agar strange matter hamare earth se colliide ho jaye to wo bhe haamre earth ke matter ko stange matter me convert karne lagega or earth ka size chhota ho jaiga. par earth ka mass bohot zyda ho jaiga jo bhe khali space tha earth ke matter ke atom me wo fill ho jaiga . jiske karan earth ke density bohot High ho jaige or earth bhe strange matter ke property hasil kar lega.

same case sun ke sath bhe hoga . sun bhe chhota ho jaiga or uske roshni bhe Kum ho jaige. or sun bhe strnage matter me convert ho jaiga.

scientist esa mante hai ke Jub big bang hua tha tub strnage matter bhe nikla tha or scientist ye bhe mante hai shayd strange matter he dark matter hai. jo ke hamare universe ke es badhte hue aakar ke leye responsible hai.

jis se ye universe expand ho raha hai.

par ye abhi tak hypothesis hai . scientist eske upper research kar rahe hai aabhi .

par agar ye sach hua to ye bohot zyda kharnak ho sakta hai ..

I hope it's helpful for you

Similar questions