Hindi, asked by satbhaiyashreya1501, 11 months ago

Hindi Essay on India’s National Integrity in Danger

Answers

Answered by amishathakur2510
0
Hi dear here is ur answer ✌

Kisi zamaane mein bhaarat ko sone ki chidiya kaha jata tha . Aur sone ki chidiya bhi bharat sirf logo ki ekta aur mehnat se bana. Jab angrezon ne bharat par kabza kiya tab unhone sirf desh ko hi nhi loota parantu unhone logo ko dilon mein ek doosre ke liye nafrat bhi jagai. kaafi ladaiyan hui . khair aajkal itni ladaiyan nhi hoti hain par aajkal bhi log ek hokar nhi chalte. kyuki unke mann mein ek galat cheez baith gyi hai ki doosre dharm ka aadmi hamara dost nhi ban sakta. par wo yeh nhi sochte ki agar ham sab ek nhi rahe toh hamara desh kabhi aage nhi badh paaega. aajkal har choti choti baat par dange ho jaate hain. kitne maasumon ki jaan jaati hai. kitne logo ka nuksaan hota hai. logo ko ekta ka mtlb samajhna chaahiye aur usko samajhna chaahiye. ham ek rahenge toh desh pragati karega.

i hope it helps u buddy ✌
#jai hind
Similar questions