Hindi summary of midnight visitor
Answers
Answered by
227
Ausabel ek French jassos tha.fowler ek lekhak the,unhe Ausabel ke baare mein pata chala to vo Ausabel se milne ek hotel ke 6th floor pe gaye, bahar se dekhne mein Ausabel mein jassos wale koi lakshan na the, na hi jassoso wali furti ..na sharir...na hi pasad.Ausabel se thodi der baat karne ke baad fowler bahut dukhi ho gaye kyunki unhe Ausabel mein jassoso wali koi baat nai mili..unhe shek hone laga ki Ausabel kahi jasoos hone ka natak to nai kar rahe?Ausabel ne Fowler ko bataya ki unke pass missile ke bahut khoofiya kaag zaat aane wale hai,vo dono ek kamre ki tarf gaye waha Max naam ka dusra agent banduk leke unka intezaar kar raha tha unn missile kagazat ko paane ke liye.Ausabel ko bahut samajhdaari se kaam lene ki zarurat thi nai to unki aur unke dost FOWLER ki jaan khetre mein thi ,unhone bahut hi samajhdaari se Max ko yaaken dilaya ki samne wale window ke aage ek balcony hai ,jiski shikayat unhone bahut baar hotel walo se ki hai,ki uss balcony se koi bhi chor andar aa sakta hai lekin hotel walo ne unki baat nai maani.tabhi darwaze ki ghanti baaji Ausabel ne bahut hi samjahdari dikhate hue Max se kaha ki police darwaze pe khadi hai kyunki unhone police ko tayar rehne ko kaha tha kyunki unke pass missile ke bahut zaruri kaagzhat aane wale the ,yeh sun kar Max ghabra gaya usne socha vo balcony mein jaake chup jaayega jaise hi usne window ke bahar kadam rakha vo ser ke bal 6th floor se niche gir gaya kyunki waha koi balcony thi hi nai ye sab Ausabel ki rachai hui kahani thi,darwaze par bhi waiter tha jiske baare mein Ausabel ache se jaante the.
ek jassos ki pehchan uske sharir se nai balki dimag aur sochne ke dhang se hoti hai.
ek jassos ki pehchan uske sharir se nai balki dimag aur sochne ke dhang se hoti hai.
Similar questions