i want some examples of chitra varnan in hindi for a project
Answers
Chitra Lekhan : issme hume ek Chitra diya jata hai aur us par apne man se bhumika bana ke chitra ko madhyaam bana ke likhen hote hai . Jaise hume kisi ne Chidiyaghar (Zoo) ka h chitra liya jismai , ek pariwaar hai aur wo abhi jaanwaro aur pakshiyo ko dekhte hue aage bad raha hai . to apni kalapna ausaar kuch iss tarah vyakt kr sakte hai .
Bhaiya-dooj ke parv par mamaji mummy se milne aaye the . Dher sari mithaaiya aur fal laaye . Mummy ne unki aarti utaari aur tilak lagaya . phir humne bhojan kiya . Saam ko mousam bahut suhavana ho gya Papa ne bola chalo chidiya ghar chalte hai . Humaare ghar se sirf 2 km ki door par hai par hum kabhi jaa nhi paate . aakhiri baar hum garmiyo ki chhuti mai gye the . papa office ke kaam se bahar rahte hai aur maa ghar sambhaalti hai. Isliye kisi ko samay hi nahi milta . lekin aaj papa ne sabko chidiyaghar le jaane ka bol ke dil jeet liya jabki wo 7 din baad aaye apne marketing aur business promotion meetings ke baad.
Hum sab fatafat teyaar ho ke chal diye . Maine papa ka haath pakda tha aur sonu ko mama ji ne god mai utha rakha tha . Entry fee dene ke baad ticket lekar hum andar gye . jab maine poocha papa se ki pichali baar fee nhi li aaj kyu ? to papa bole badhati mehgaaayi aur mousam mai badlav ke kaaran jaanwaro ko rakh ne aur palne ka kharcha badh gya issliye ye hum se madad ke roop mai ticket fee lete hai.sabse pahle pakshiyo ka samuh dekha . 100 tarah ke bhinn bhinn prajaati ke rang birange pakshi dekhe .unki madhur aawaz wahano ke shoor se door bahut priya lag rahi thi kaano ko . koyal ki aawaj to jaise sahad ghol rhi thi .phir humne haathi dekha . haathi ki chinghaad se sonu dar gya . Aage Sher , tanduaa , bhediya , lomdi aur neel gai ke baade the . sabko alag alag rakha gya tha . neel gai ghaas kha rahi thi . Sher ko hiran ka maas diya gya tah .Lomdi paani pe rahi thi . Sher ke pass to cooler bhi rakha tha aur ek motaa lakadi ka palang bhi tha . sach much lag raha tha ki wo jangale ka raja hai . ant mai humne badaro ki uchaal-kood dekhi . Unke haav bhaav lagbhag manav jaise the .sayad isiliye bandro ko humara purvaz kaha jata hai . paas ke mandir mai humne shiv bhagwaan ke darshan kiye . samne ke park mai baith kar icecreem khayi aur papa- mummy aur mama ne samosa aur chai pe. Sonu bahut khush lag raha tha . muje bhi bahut dino ke baad zoo dekh ke achha laga.