I want to essay on nari aur shiksha?
Answers
NARI AUR SHIKSHA
Nar aur nari smaj ke do pahiye hai ek ke bhi abhav me shwasth samaj ki kalpna nahi ki ja sakti koi bhi samaj tabhi vikash ker sakta hai jab dono saman roop se shikshit ho
shiksha ka nari jeevan me vishes mahatva hai ek kushal grahini hona anivarya hai shiksha na keval nari ko atma nirbhar bnati hai balki ek kushal grah sanchalan ke yogya bhi banati hai shiksha se nari ke guno ka vikash hota hai shiksha nari ko apne swasth ke prati bhi zagrook bnati hai nari ka swasth hona atyant mahatvapurna hai kyunki ek swasth nari hi swasth santan ko janm de sakti hai nari ki shiksha isliye bhi mahatvapurna hai taki weh apne bacho ka swargirna vikash ker sake bacha apne jeevan ka mahatvapurna path ma ki god me sikhta hai achi adat aur vicharo ko sikhane ke liye ma ka shikshit hona ataynt avashyak hai atah ma shikshit hogi to bacho per bhi uska prabhav avasya padega isliye nari ki shiksha bhi avasyak hai.......................
Aaj kal shiksha sirf paisa kamaane ka saadhan maani jaati hai. Shiksha ke dwara hi dhan,gyan,sadachaar aur prakarm me varaddhi hoti hai. Isliye hume apne se chhoton ko shiksha ke sath-sath naitikta ko bhi yaad karaana zaruri ho gaya hai. Ab tak hare k vayakti samaj me shikshit nahi hoga tab tak desh ka poori tarah se vikas nahi ho sakta ha