Hindi, asked by Bvfhhj3790, 8 months ago

jal prdushan ko rokne ke liea sujhav de

Answers

Answered by boratetejas62
1

Explanation:

jal pradushan bharat ki ek bohot badi sasya hain . Bharat main badi badi nadiya hone ke bawajud bhi unka khayal nahi rakha jata . Nadiyo ko saaf rakhna har ek desh wasi ka kartawya hain .Par koi ise nibhana nahi chahta . Isiliye yaha ki nadiya pradushit hain .

Is pradushan ko rokna bohot aawashyak hain . Yaha puri pruthvi ke liye bohot hanikarak hain .Agar ise roka na gaya toh hum bohot mushkila se gujarna pad sakta hain.

Jal pradushan ko rokne ke kayi tarike hain jaise ki agar humne nirmalya nadi main chodne ki bajay wahi pain kudedaan main daala toh nadi ka pradushan kafi hadd tak kam ho sakta hain , agar factory ka pradushit paani nadi main na choda jaye toh yah bhi ek bohot acha upay hain , diwali aur kai dusre utsawo par agar hum tel ke diye nadi main na chode toh yaha bhi ek bohot acha upay hain , nadi main kachra dalna bhi band karna chahiye yaha kuch aasan upayo se bhi nadiyo main hone wala pradushan roka jaa sakta hain .

Bharat main nadiyo ko devi ka darja diya gaya hain toh hum ise pradushit kaise kar sakte hain yaha humari bohog badi galati hain hum ise sudhaar sakte hain bas in kuch aasan upayo se.

Answered by sasha1215
0

जल प्रदूषण को रोकने के लिए सबसे पहले हमें प्लास्टिक का उपयोग करने से बचना चाहिए, हमें जलस्रोतों में कचरा नहीं फेंकना चाहिए।

Similar questions