kahani on buri sangat in hindi on brothers please guys give me this answer earlier
Answers
Answer:
Explanation:
ek baar ki baat hai . raampur naam ke gaav me do bhai rahte the. jinka naam surya aur shiv tha. woh dono saath khelte , saath padte , saath khana khate aur bhi bahut se karya wo dono saath milkar karte . wo dono ab school jane ke layak ho gaye the . unke mata pita ne unhe school me dakhila dila diya . aur dusre din dono apne school jaane ke liye subah subah uthkar taiyar ho gaye fir dono ne apne mata pita ka ashirwaad liya fir dono ne school me pahla kadam rakha. waha per unhe ek ladka mila jo bahut hi shararti aur dusro ko pareshan karne wala tha uska naam neelu tha jab usne surya aur shiv ko dekha to usne ek upay socha ki chalo in dono ke saath dosti karte hain . woh un dono ke pass gaya aur bade hi pyar se bolaa ki kya aap dono mere dost banoge surya ne to fat se haa kar di lekin shiv kuch nahi bola fir usne apne bhai ko dekhkar haa kar di. ab teeno saath rahte kuch din to beet gaye fir neelu ne shaitaniya karni shuru kar di aur usne apne saath un dono ko bhi dusro ko pareshaan karne ke liye kaha un dono ko bhi bahut acha lagne laga sabhi vidyarthiyo ko pareshaan karneme fir ye baat school ke principal ke paas pahunchi woh neelu ko to jante hi the unhone undono ke pita se iske liye shikayat ki to unke pita samajh gaye ki ye sangat ka asar hai.
ek din unhone un dono se 1 dozen kele lane ke liye kaha aur ek sada kela laane ke liye bhi kaha dono kele leke aye fir unhone pucha ki in kelo ko kaha rakhe to pita jee ne kaha ki table per rakh do to unhone pucha ki ye sada kela kaha rakhe to pita ji ne kaha ki ise un kelo ke beech rakh do . fir shaam ko pita ji ne wo kele unse mangaye wo dono kele leke aye unhone pita ji se kaha ki ye kele to sad gaye hain . tab pitaji ne kaha ki jis prakar ek sada kela saare ache kelo ko kharab kar sakta hai thik usi prakar kisi buri vyakti ki sangati se poora samaj bura ho jaata hai wo dono samajh gaye aur tab seun dono ne neelu se dosti tod di aur fir dono khushi khushi saath school jaane lage.