kya ish baar china aur india mein ladai hogi
Answers
CHIDIYA
By: Vilen
Aankhein woh baatein, teri mulakatein
Mere zehan se ab jaaye na
Khwaabon mein jaake, hans ke muskura ke
Mere zehan se le jaaye jaan
Tere dil ki kahaniyon ki main
Banun raat deewani re
Sochun tere bina agar zindagi
Behde aankh se paani ve hey
Baahon mein baahein
Teri yeh aahein
Mere hokar yeh
Reh jaayein haan
Aankhein woh baatein
Tere sang raatein
Mere zehan se ab jaaye na ho
Kaisi woh muraad thi jo aaj jal gayi
Pariyon ke zehan mein jo aag ban gayi
Dekhi na thi sapnon khyalon mein kabhi
Aisi zindagi se mulakaat ban gayi
Teri aankhon ki lehak ko na jaane
Na jaane kaisi raat mil gayi
Na jaane kaisi raat mil gayi
Na jaane kaisi raat mil gayi
Aankhein jhukti chubhan mein
Ashkon mein magan yeh
Kaisi teri saansein chadh gayi
Ho sakhiyan dekhe anjuman mein
Soche sab mann mein
Kaisi kaisi baatein ban gayi
Ho teri baaton ki chehak ko na jaane
Na jaane kaisi raat mil gayi
Na jaane kaisi raat mil gayi
Na jaane kaisi raat mil gayi
Oh ri chidiya na tujhe ri
Kyon yeh duniya bhaaye re
Oh re panchhi kyon humesha
Baithi munh latkaye re
Teri aankh yeh jo namm hai
Inmein jo gham hai
Chhod ke subah pe kar yakeen
Ho yeh jo jhoomta sawan hai
Meethi jo pawan hai
Teri hi muskaan se hai bani
Ho teri baaton ki chehak ko na jaane
Na jaane kaisi raat mil gayi
Na jaane kaisi raat mil gayi
Na jaane kaisi raat mil gayi
Sochi thi jo raat woh aaj mil gayi
Dhuyein ke baras mein barsaat mil gayi
Dekhi thi jo sapnon khyalon mein kahin
Kushiyon ki kiran woh aaj mil gayi
Yeh zamana beshram hai
Na iska dharam hai
Kyun dhoondhe hai tu ismein bandagi
Oh tere sath tera man hai
Dil ki dhadkan hai
Aage badh ke jee le zindagi