India Languages, asked by kuhusingh2077, 1 year ago

Kyon Na Kare Hum plastic se parhej hindi mein nibandh likhiye

Answers

Answered by Anonymous
1

Mujhe abhi bhi wo din yaad hai. 4 saal ho gaya use gaye par aaj, jab bhi us din k baare mein sochti hu to mere rongte khare hone lagte hai. Maine apni aankho k saamne mere paltu kutte ko marte huye dekha tha. Aur wo bhi plastic galti se khane ki wajah se. Kash Aisa din aur kabhi bhi kisi bhi janwar ko na dekhna pade.

Thik aise hi kai janwar plastic ho khana samajhkar nigal lete hai aur apna jivan kho baithte hai. Hum insaano ki laparvahi ki wajan se ye bechare masum janwar bhugat te hai. Iss jindagi ke bhaga douri me, hum na jaane kaha kho gaye hai ki sahi aur galat me antar samajh ke bhi naa samajhne ka natak karte hai.

Plastic hum insaano k liye bhi bahat khatarnaak hai. Plastic agar thore matra me bhi humare sharir me chala jaye to jaan leva bimari ho sakti hai. Plastic kabhi kabhi naaliyo me atak jati hai aur ganda paani paye jal se mill jata hai. Isse Diarrhea jaisi bimariya hoti hai. Plastic naadiyo k paani ko bhi ganda kar deti hai. Plastic ki wajah se humare krishi fasal nhi uga paate hai kyon ki plastic ko prakriti me puri tarah se ghulne me bahat samay lagta hai.

Agar itne saare nakaratmak lakhshan hai Plastic ke vyavhar me, to kyon na kare hum plastic se parhej? Kyon na badle iss duniya ko? Kyon naa kare bharat ko plastic se mukt?

Dhanyavad.

Please mark this answer as brainliest.

Similar questions