Hindi, asked by Popsicle4510, 1 year ago

Meaning of paragraph of chapter yamraj ki disha poem

Answers

Answered by Dikshita47
46
1. Maa ishwar se mulakat hui ya nehi...........
Meaning:Kabi aapne maa ko yaad karte hue kehte hai ki yeh kehna muskil hai ki unki maa ki kabhi ishwar se mulakat hui thi, par baatchit k dauran woh sanket deti hai ki uski bhagwan se mulakat hoti hi rehti hai aur ve bhagwan ki salah par hi kaam karti hai. Bhagwan unhe zindagi jeene ka ya dukho ko jhalne ka rasta bata te hai.
2.Maa.............................................
Meaning: Kabi kehte hai ki unki maa bachpan me kehti thi ki dakshin disha me pair karke nehi sona chahiye kyonki woh disha mrityu ki disha hai. Dakshin me pair karke sona aur yamraj ko naraj karna uchit baat nehi hai. Kabi ke yamraj ka pata puchne par unki maa ne kaha tum jaha v raho yamraj hamesha dakshin disha mein hi rehte hai.
3. Maa ki samajh.................................
Meaning: Kabi kehte hai ki maa ne jab unhe samjhaya ki dakshin me pair karke sone se yamraj naraj ho jate hai, jo ki acchi baat nehi hai. Usdin se unhine dakshin me pair karke sona chhor diya,unhe dakshin disha pehchanne me kabhi dikkat nehi hui. Unhone apne jeewan me dakshin me dur- dur tak yatra kiya par unhe dakshin ka annth kabhi nehi mila agar woh mil jata toh sayad kabi yamraj ka ghar dekh pate.
3. Par..........................................
Meaning: Kabi kehte hai ki maa ka yah kehna ki dakshin par pair karke nehi sona chahiye kyon ki is disha me yamraj rehte hai, galat hai.Aaj samaj me itni asuraksha hai ki chahe aap kisi v disha me pair karke soye aapki hatya ho sakti hai. Isliye aaj har disha dakshin disha ban gayi hai. Yamraj jaise log mahalo me rehte hai aur har jagah faile hua hai. Har jagah unki dahakti hui aakhen dekhai deti hai.
Maa janti thi ki Yamraj ki Disha Dakshin me hai, aaj na Maa Rahi aur nahi Yamraj ki woh 'Dakshin Disha' rahi.

Dikshita47: PLZ... mark me as brainliest
Similar questions