"Media jo kehti hai use hi sach mana jata hai"
Debate in hindi. For the motion. Plz answer fast.
Divyankasc:
Positive side Or negative!
Answers
Answered by
2
Media jo kehti hai usse sach mana jaata hai. Yah wakya sahi hai. Aajkal media wahi baatein kehti hai jo logon ko pasand ho. Hum usse masaledaar baatein kehte hai. Par kya logon ko jo pasand aaye wah baatein sach hoti hai!? Kabhi kabhi nahi.. Media baaton ko apne tarike se todti marodti hai aur humare saamne prastut karti hai. Parantu humlog usse sach maanlete.. Man lete hai ki sabkuchh sach aur sahi hai.. Aaj, journalists zyada jagaho par naa jaakar jo jaankaari milti hai ussi par vishwas karlete hai, iss karan bhi Hume galat jaankaari milti hai..
Answered by
1
Aaj ke yug mein media ka vikas mein aham haath hai . media aam janta ko jarori soochna deti hai saath hi saathi janta ko har din hone walli khabron ke baare mein batati hai . media hamare liye ati aavashyak hai , isliye aaj aam janta media ki kahi gayi har baat par vishwas karti hai . isse media ke prati aam janta ka vishwas dekha jaa Sakta . mere vichar mein ye galat nahi hai , media ki baaton par bharosa karna galat nahi hai . media hame prati din bahut kuch sikhati hai , saath hi saath samajik gyan badhati hai . media par vishwas karna sahi hai . aaj media hi hame aane wale sankat jaise toofan , baadh ke bare mein batati hai .
atha mein yahi kahna chahta hun ki media hamare samaj ke vikas ke liye avashayak hai aur hame us par pura bharosa rakha chaihye .
dhnyavad...
Similar questions