Media ka uttardayitva in hindi.
Answers
Media ka uttardayitva
Aj ke samay mai media ka sabse bada utardaayitav ye hai ki wo desh mai sadbhav aur saanti ka maahol banaye rahe . Desh ko pragati aur saamjasya ke liye prerit kre . Samajik ghatnaao ko ek pakhiya naa dikhaaye ya kisi jati visesh ko galat prastut naa kre . Media ko yuvao mai deshbhakti aur udhmita ki bhavna bharni chahiye naaki nashe aur apraadh ki ghatnaao ko bhada chada kr chaape .
Jaisa ki hum jaante hai ki media ko desh ka 4th aadhaar kaha gya hai . isliye media ko humesha nispakh aur paardashi rahan chahiye . Kisi se paisa kele yaa sasti lokpriyata heti samaj aur desh ka nuksaan nhi krna chaiye . jis khabar se desh toot ta ho yaa koi dange hote ho use baar baar nhi dikhana chahiye .rajniti s grasit naa hokar sateek aur desh hit ko chhapna chaiye . Media ka dayitav hai ki wo samrasta aur manorangan ko kam naa kre . gyaan aur samaj uthaan k liye sahyog de . Sarkaar ke kaam ka bharpoor jayaja le aur sachhi baat rakhe naa ki sirf aalochna kre .