Mere jivan ka lakshay doctor best answers needed i will mark as brainliest . 1500 words needed
Jasmine09:
1500 words ??????
Answers
Answered by
4
Mere jeevan ka lakshya Doctor banna hai.aaj ki duniya mein jitni beemari logon ko ho rahi hai ,pahle shayad nahi hoti thee. Mera dil dukhi ho jata hai aur main ye sochne lagta hoon ki kaise sab ki madad ki jaye.yahi soch mere dil mein ghar kar gayi aur mere Doctor banne ki ichha bhi prabal ho gayi.yahi ek aisa madhyam hai jiske dwara main logon ko madad kar Sakta hoon.sahi soch aur sahi gyan iske liye bahut jaroori hai..bhagwan ko kisi ne ab tak nahi dekha hai,lekin koyi bhi insaan jab jeevan aur maut ke beech pada rahta hai to uske apno ko doctor mein bhagwan ka roop nazar aata hai.main ye nahi kahta ki padhai karke main bhagwan ka darza paa sakunga,lekin kisi insaan ki jaan bachakar Jo khusi kisi doctor ko milti hai woh uske kamaye huye dhan se kahin jyada kimti hoti hai..ek achhi soch lekar achha Doctor banna hi mera lakshya ban gaya hai..!!!
Ek Doctor logon ko jeevan hi nahi deta hai bulki ek nahi zindgi bhi deta hai.heart ,lever,kidney ,aankh ye sabhi kabhi na kabhi kharab hone lagte hain.suger ki beemari to logon mein aam ho gayi hai ,Jo aage chalkar kayi aur beemari ko janam deti hai.Doctor bankar mujhe inn beemariyon ke liye kuchh aisa treatment talash karoonga jisse logon ko kam pareshani ho.jab tak jeevan hai use apne bharose hi jiya jaye to ye kisi insaan ke liye sabse achhi baat hogi.Doctor ke roop mein logon ki taklif kam karna mera pahla daram hoga ...main aisa Doctor banna chahta hoon Jo paise kamane ki machine na bane bulki insaan ki taklif ko samajh kar uske dukh ko door kare..mera kaam iinsaniyat ke liye hoga,insaan ko insaan samjhkar hi uska ilaaz karoonga..main apne lakshya ko pura karna chahta hoon..ek aisa Doctor bankar Jo insaan ko uski khusi de sake,uske chehre ki muskurahat lauta sake,woh bhi ek sachhe insaan ke roop mein aur woh sachhai insaan mere jaisa Doctor hoga..
Aaj Maine Doctor banne ki disha mein apna pahla kadam badha diya hai.mujhe bahut khushi ho rahi hai main apne manzil ki pahli seedhi par kadam rakh chukha hoon .naya anubhav ,naya mahaul ,naye dost,sab kuchh naya thaa.purane dost sab prechhe rah gaye they. Thoda dara aur sahma hua bhi thaa ki kaise ye padhai kar sakoonga..college mein raging bhi huyi,lekin apne aap ko kamzor nahi padne diya.jab classes shuru huyi to aisa laga ki sab kuchh samajh se pare hai.phir Maine apne lakshya ko yaad kiya aur pure dhyan se class mein padhayi gayi har subject ko samajhne laga.Anatomy ki class mein to mujhe chakkar hi aa gaya ,laga jaise kathin pran me liya hoon .phir dheere dheere sab kuchh aasaan hota gaya.saal beetne lage aur ek din mujhe doctor ki degree mil gayi.mere sapno ko manzil mil gayi thee.ab mujhe apne lakshya ko yaad rakhna thaa.Maine bilkul yaad rakha aur nikal pada ek aise safar par kahan main logon ka ilaaz kar saloon,unhe naya jeevan de saloon,ukke chehre ki muskurahat Lauta sakoon. Mara Doctor banne ka lakshya pura ho gaya thaa....!!!
Similar questions