Hindi, asked by preeancubnrzi, 1 year ago

नमस्कार दोस्तों!
निबंध लेखन _ दिशा हीन युवा वर्ग...संकेत बिंदु ‌‌‌‍‍>>
• प्रस्तावना
•युवा वर्ग में बढ़ता असंतोष
•निर्णय की अक्षमता
•अभिभावकों की ज़िम्मेदारी
•उद्देश्य की प्राप्ति में शिक्षा की भूमिका
•युवा वर्ग का वर्तमान स्वरूप ...
जो सबसे पहले उत्तर देगा उसे ब्रेनलियेस्ट मार्क मिलेगा...जल्दी उत्तर दो..​

Answers

Answered by Abhishek909
2

prastavna - dishaa hin yuwa varg matlab aaj ke yuwa apne kaary k prati disha hin ho chuke hai.

yuwa varg me badhta asantosh - aaj ke yuwaao me bardaasht karne ki baat to rahi hi nahi. agar unhe kuchh chaahie hota hai or agar unhe naa Mile to wo bhaavuk ho jaate hai. apne aap ko kathin paristiti me sambhal nahi paate hai. unme kisi bhi chij ko asantosh rahta hai. unhe maalum hi nahi hota hai ki unhe bhavishya me kya karna hai ya nahi.

nirnaye ki ashamta- yuwaao me apne nirnay (decision ) ko lekar dhrin - nischay nahi rah paata . wo apne liye hue faislo par adig nahi rah paate hai.

abhibhavko ki jimmedaari - abhibhavko ji jimmedaari hai ki wo apne bachho ko sahi tarike se samjho. unki galti pe unhe daant ne k jagah unke dost bankar unhe samjhaae. unhe support kare. unke sapne k baare me unse jaane . apne bachho ko sahi dishaa de jindagi k lie. unhe sahi salaah dekar unhe jindagi me aage badhne k lie prerit kare. unka manobal badhaae.kuch parents apne bachho par apni ichha thop dete hai jiske kaaran bachhe sahi faisla nahi le paate hai or waqt beet jaata hai or uske kaaran unhe jindagi me bahut utaar - chadaav jhelne padte hai. islie parents ka kaam hai ki wo apne bachho ki nazar se unke sapne ko samjhe. unhe himmat de taaki wo jivan me kabhi haar na maane .

udeshya ki praapti me shiksha ki bhumika - shikshaa prapt karna sab manushya ka adhikaar hai. shiksha hai to hum hai. ek sahi shikshak hazaaro logo ko sahi margdarshan deta hai. logo ko sahi faisle chunne me sahaayak hota hai. ek achhi or sahi shiksha bachho ki neev ko majbut banaati hai. unhe apne pairo par khade hone k laayak banaati hai. humaare desh me aaj bhi kai aese log hai jo shiksha se vanchit hai. kyuki unke pas padhaai karne k lie , vidyalaya jaane k lie paise nahi hote hai. hume achhi se achhi shiksha prapt karke jivan me aage badhna chahie or desh ka , pariwaar ka naam roshan karna chahie.

yuwa varg ka vartmaan swarup - abhi ke time me yuwa apne kaam ko sahi sankalp se nahi kar paate hai. samay ko ehmiyat ko bhul jaate hai. or jo samay ko mahatva nahi deta use kuchh v haasil nahi ho paata.

THANK YOU

Answered by lostgirl10
1

Explanation:

hi bro nice dp ..........

Similar questions