naya sapna naya bharat par hindi kavita
Answers
Answer:
Explanation:
Meri aankho mein ek sapna basta hai,
jisme naye bharat ka naya roop sarwatr hai,
na garibi dikhti hai, na gareeb dikhta hai,
har bachhe ke hath mai kitaab hoti hai,
aur har baap ki beti ab bida hoti hai,
har maa ka laal uske pair dabata hai,
har ghar ki bahu ab beti ban jaati hai,
bhrashtachaar ko ab koi nahi jaanta hai,
har jagah imaandar aur imaandaari basti hai,
ab padosi bhi bhai ki tarah lagta hai,
aur pura desh ek pariwaar ki tarah dikhta hai,
kisi ki takleef mein ab hazaro hath uthte hain,
kisi ka dukh ab sabka ban jaata hai,
khushiyan ab baahe failaye sabka swagat karti hai,
aur har insaan ab khush nazar ata hai,
ek din ye sab sach hoga,
jo sapna meri aankho mai basta hai,
jisme Bharat ka ek naya roop sarwatr hai.