Hindi, asked by sa4purwareeriyab, 1 year ago

Nibandh on yudh ek anivarya abhishaap hai

Answers

Answered by monu7bishnoi
9
Yudh : Ek anivarya Abhishaap 

Yudh ek aisi ghatna hai jo koi bhi apne jeevankaal mai dekhna nahi chahta hai kyuki uske parinaam bade hi dukhdaayi aur aatma ko hila dene wale hote hai  phir chahe hum yudh  ka hisa hai ya nhi iss se koi farak nahi padta . Kahte hai ki Jung ko chand roj hoti hai aur jindgi barsho talak roti hai . Kyuki ek jawan marta hai to naa jane kitne rishte bikhar jaate hai . Kisi  ka pita to kisi ka beta aur kisi ka bhai to kisi ka suhaag ujaar jata hai . Agar aap yudh mai aam naagrik ki tarah maare gye hai to bhi dukh hi hai . Desh apna ek yuva yaa anubhavsheel bujurag kho deta hai . Yudh ne kabhi kisi  ka bhala nhi kya .,Vinaash ka dusra roop hai yudh . Pichhle 2 vishwa yudh iske gawah hai . Aaj bhi kuch desh sadme se ubar nahi paaye hai .Japan jiska sabse bada udaharan hai . Humare desh ne bhi bahut baar padosi mulko se yudh ka aaghaat jhela hai. Naa jaane kiste jawaan ab tak desh rakha hetu saheed hue hai. Aur abhi bhi seema par jaan de hetu aatur hai . Lekin aaj bhi hum ghar baithe kabhi bhi yudh naa hone ki duaaye krte  hai kyuki hum jaante hai ki jo saja puraani peedhiyo ne jheli hai wo aane wali pidhiya naa dekhe . Hum har pal aman aur asha ka mahol banaye aapsa mai aur sabke saath. 
Similar questions