oh! plz give me paragraph on dhumrapan in hindi
Answers
Dhumrapan
Dhurapaan jise beedi peena ya Ciggerate peen bhi kahte hai . Ye aaj ke yuva dour ki sabse buri lat hai . aadat phir badali jaati hai lekin hum lat ko nhi badal sakte . Isilye kaha jata hai ki hume buri lat se door rahna chahiye . Ab hum ye jaan ne ki koshis kre ki log dhumrapaan kyu krte hai to iske kai karan hai jaise log tanaav bhagane ke liye , khud ko tarotaja mehsoos krne ke liye , kaarya samta badhane ke kiye , kabhi kabhi kisi par roub jama ne ke liye , to kabhi kisi ko dekh kar hi seekh jaate hai jise sangati ka sar bhi kah sakte hai . Kabhi log apni udaasi aur ekelpan ko doorkren ke liye bhi peene lag jaate hai . Lekin kuch pal ke liye kiya gya ye shouk kitna mehnga pad sakta hai kisi ne soch bhi nhi hai .Aski antim isthit bahut dardnaak hai jise Cencer bhi kahte hai . Iss liye hume iss se sada door rahna chaiye aur dusro ko bhi salah deni chahiye ki humesha iss nashe se door rahe . jitney log bandook ki goli se nhi marte utne log sansaar mai bidi aur ciggrate ke dhue se mar jaate hai har saal . aur ye stya baat hai . Jitne dhua beedi peene wala ya cigrate jalane wala nhi peeta us se kahi jaayda aas pass ke log prabhavit hote hai . 70% dhuaa pass ke log ki swansh mai jata hai .isi liye kaha jata hai grabhwati mahila ke pass baith kar dhumrapaan naa kre kyuki pet mai pal rahe bachhe ko nakaraatmak prabhav padte hai .
Ab log ye bhi kahenge ki sarkaar band kyu nhi kr deti ye sab . to baat ye hai ki iss se sarkaar ko bahut aay hoti hai aur TAX ke roop mai compiniyo se paisa milta hai aur wo desh nirmaan mai kaam aata hai . logo ko rojaar bhi milta hai . Isliye hum poora dosh sarkaar par nhi madh sakte . Packets par humesha chetavani bhi likhi hui aati hai . Sarkaar apna farz nibha rahi hai . hume apna sawsthya khud dekhna chahiye .Bahut se Dhumrapaan virodhi Kendra bhi khule hue rahte hai . unki sahayata li jaa sakti hai.Sab se achha hoga ki hum suru se hi iss bimaari aur takleef se door rahe aur sabhi bado aur bachho ko door rahen ki salah de .
Pahala sukh nirogi kayaa!!