औधोगिक और उतर औधोगिक समाज की तुलनात्मक चचाऱ करे
Answers
Answered by
1
Audhyogik aur Uttar audhyogik samaj mai farak ye hota hai ji Auydhyogik samaj mai cheejo yaa kinhi vastuo ka aadaan pradaan hota hai aur unka hi kary vikray hota hai jabki Uttar audhyogik samaj mai suchna ka adhaan pradaan hota hai. Jaisa ki hum jaante hai ki suchna ko ek vaysaay ki cheech banana bahut muskil hai . Sikhshak , patrakaar , vakeel aadi log suchna ko hi apni aajeevika banate hai . ye hi suchna ke janak aur prerak hote hai . Soochna ka Sabhi udhyogo mai bahut yogdaan hai . agar Soochna ko sahi isthaan milega to kaafi smashyaaye apne aap sahi ho jaaye gi aur vyapaar mia haani bhi nhi hogi jaise ki sahi marketing aur bikri soochna se hi jude hue hai . Sach hi iski takat hota hai . Aaj suchna ne hi gyan ko ek jins bana diya hai aur ye ek bazaar ka roop le chuki hai . Vigyan aur taknik ka to adhaar hi suchna hai . Uttar audhyogik jo ki soochna se hi juda hai aj Audhyogik vikas ke barabar aa chukka hai . Dono ka santulan hi desh ko taraakki aur uchhaayi ki taraf le jaayega . Ek achhi Arth vayvsthaa hetu inka saamjasya jaruri hai .
Mark as Brianliest answer
Mark as Brianliest answer
Similar questions