Hindi, asked by zainabansari74, 1 year ago

pad bada ya vyakti points to say in class

Answers

Answered by monu7bishnoi
9

Pad bada ya vyakti

 Jaha tak mera man na hai Pad humesha vaykti se bada hota hai . Log pad ka adar krte hai naa ki vykati hai . Aur agar pad par aseen vyakti pad ki garima  banaye rakhne ke liye sada achhayi aur kushalta se kaam krta hai to log use aur ijjat dete hai .Kuch samay baad mai wo pad se  bada mana jata hai .Lekin aise log bahut kam hote hai . Bahut kam log hote hai jo pad par bane rahkar uski maan – maryada ke liye kaam krte hai . Janata ki  har muskil aur takleef ko sunkar aur uksa niwaran krte hue apne  rastra kartvya aur daayitav ko nibhate hai .Bahut se log sirf pad dwara di hui shaktiyo ka galat faayda utha kar janata aue  aam logo ko pareshaan krte hai aur rastra  sampati ka durupyog krte hai . Jaan jaane kitne log Reiertment ke bad bhi apne pade par date rahte hai aur usi ghamd mai jeete hai jaise aaj  bhi hum hi raja ho . wo naa to kabhi sarkaari bangle khali krte hai aur  naa hi unka bijlee pani ka bill bharte hai .Jabki wo kanoonan pad bhar se mukat ho chue hai . Lekin bhog aur vilasita mai  itne doob jaate ki unhe pad ke dawara mili jimmedaariya nibhane ka samay hi nhi milta . Bus wo to sarkaari gaadi  mai apne pariwaar ko sair sapata krwane mai lage rahte hai .

Lekin kuch log hote hai jo apni karya kushalta aur desh prem davra janata ka dil jeet leet hai . Janta bhi unhe humesha Pad se jayda ijaat aur sammaan deti hai jaise Rastrapati APJ abdul Kalam , PM AtalBihari Vapyi , Chunav Ayukat TN Shesan ,AR Rahmaan , RBI Governor Radhuram Rajan .

Aur jo pad ka palan nhi krte unki ginti karwane ki saayd jarurat nhi hai .

Similar questions