Hindi, asked by swaroopsunil7608, 1 year ago

pakshiyon ko pinjre me bandh karne se keval unki azaadi ka hanan hi na hi hotha ,apithu paryavaran bhi prabhavith hotha hai.is vishay par das pankthiyon me vichar likhiye.

plz answer fast plz type answer in hindi

kavitha se age 2 Q

plzplzplzplzplzplz​​​​​​

Answers

Answered by koms1
4
Khule Aasman ki Taraf dekhte hi Hamara Bhi dil khir udhta hai . Dil Karta hai ke ham Bhi Aasman mein Ja kar Aanand le saken . Lekin kya kabhi hamne un panchion ke bare mein socha hai jinhe pinjaron mein kaid kar liya jaata? Kya humne kabhi socha hai ke aasman hi unka apna ghar hai? Socho hum bhi Panchi hon or pinjaron mein band hon , tadap rahe hon bahar aane ke liye. Kaisa lagega hame? Kya hum khush honge yeh jankar ke humse hamari aazadi cheen li gayi hai? Kya hum khush honge yeh jankar ke Hume kaid kar liya Gaya hai ? Nahi humen bahut dukh hoga . Bilkul isi tarah un panchiyon ko bhi mehsoos hota hoga jo kaid kiye jaate hain. Kayi ameer log panchiyon ko bade-bade pinjaron mein kaid karte hain, yeh sochkar ke bade pinjaron mein rahenen mein unhe aasani hogi lekin kya unhonen yeh socha hai ke aasman unke bade pinjaron se bhi kaafi bada hai or to or yeh un panchiyon ka apna ghar hai or aasman mein rehne par unhe zaada aasani hogi? Is liye hamen panchiyon ko kaid nahin karna chahiye kyonki is duniya mein har ek ko uski aazadi ka poora hak hai chahe vo insan ho ya phir ek Panchi or unse yeh aazadi koi bhi nahi cheen sakta.
Similar questions