Hindi, asked by lakki100, 1 year ago

Pariksha ke musibat essay

Answers

Answered by vivekprasad369
19
jab pariksha samapt ho jayegi tab sab logon ki khushi ka thikana nhi rahega parantu mujhe bahut dukh hoga kyunki pariksha se main apni padai par niyantran rakh paati thi. mujhe aisa lagta tha ki mujhe kaksha me pratham aana hai par jab pariksha hi nhi rahegi toh bacho me pratham aane ka sahas nhi rahega aur shayad padna hi band karde. mujhe pariksha dene ke baad ka voh ehsas jaroor yaad ayega. us khushi ke baad main sirf apne pariksha ke parinam ka intezaar karti rehti thi. pehle toh pariksha ek musibat lagti thi par ab lagta hai ki yadi pariksha nhi hongi toh hum padenge bhi nhi. aur agar padenge nhi toh kuch banenge bhi nhi. jab parikshayein hoti thi tab hum logon me kitab se zyada padne ki soch ujagar hoti thi. vigyan, bhugol sabme acha karne ki soch ujagar hoti thi par ab jab pariksha nhi rahengi toh bache padai par zyada dhyan na dekar. khel me hi lage rahenge.mujhe nhi lagta ki parikshayein jab samapth ho jayengi tab main itni khush reh paungi jitni aaj hoon.

I hope this helps!
Similar questions