Please give 10 examples of ras
Answers
Answered by
1
ras ke nimn-likhit das bhed hain.
1.shrangar ras-isme nayak-nayika soundrya prem darshaya jata hai.iske do bhed hain-sanyog aur viyog
eg. dekhu tat basant suhava
priya heen mori ur upjava
2.vir ras- utshah, virta ka bhav.
eg.manav samaj mein arun pada
jal jantu beach ho varun pada
is tarah bha-bhakta rana tha
mano sarpo (snakes) mein garun pada
3.vibhats ras- jugupsa namak sthayi bhav, ghrana ka bhav.
eg.ankhen nikal ud jate, chan bhar ud kar aa jate
shav jheebh kheench kar kove (crows), chubhla-chubhla kar khate.
4.hasya ras- has sthayi bhav, hasi ka bhav.
eg.ek chatur nath badi hosiyar, karke shrangar vo bar-bar
5.rodra ras- krodh ki teevrata
eg.ati ras bole vachan kathor
begi dekhao moodh na aaju
ultaun mahi jahn lag tavraju
6.karun ras- shok ka bhav, priy ka viyog, mrityu.
eg.haye ram kase jhele ham apni lajja apna shok
gaya hamare hi hathon se apna rashtrapita parlok.
7.adbhut ras- aascharya janak varnan, vishmay ki avstha.
eg.dekh yashoda shishu ke mukh mein, sakal vishva ki maya
chan bhar ko veh bani achetan, hil na saki komal kaya.
8.bhyanak ras- bhay ki sthithi, bhyanak drashya
eg.baldhi bisal, vikral, jwal-jal mano
lank lilibe ko kal rasna pasari hai.
9.shant ras- parmatma ka dhyan, pooja, varagya, stuti ka bhav
eg.mere to prabhu gir-dhar nagar, doosra na koyi
10.vatsalya ras- mamta ka bhav
eg. maiya mori main nahi makhan khayo
Hope it helps
Plz mark as brainliest
Similar questions