plzz give me an essay on internet ek sanchar kranti in hindi with atleast five points in it.like prastavana
Answers
Answered by
24
Duniya mein Internet ne jaisa krantikari parivartan kiya hai, waise kisi bhi dusri takneek ne nahin kiya hai. Yeh kisi bhi suchna ko vishwa sthar par prakashith karne ka jariya hai. Vishwa ki kisi bhi kone ki jankari ab pal bhar mein mil sakthi hai. Kitabein, samachar, pratiyogitayein, film har cheej yahan pe upalabdh hai aur tho aur hum shopping bhi kar sakte hain ghar pe bhaite. Game aur manoranjan ke deewanon ke liye yahan pe bahut kuch hai. Shiksha ke kshetra mein yeh athi sahayak hai. Bahut saare schoolon mein aaj kal multimedia dwaara shiksha dene par badava diya ja raha hai. Internet ke dwaara hum vishwa ke kisi bhi desh mein kisi company, sanstha ya vyakthi se turanth sampark sthapith kar sakte hain. Electronic mail jisne sanchar ki duniya mein kranti laya, sabse upyog cheej hai. Nayi peedi mein internet chat ya charcha vyapak rup se lokpriya hai. Eske dwaara duniya mein kahin par bhi baite vyakti key board ke zariye kisi se bhi charche kar sakte hain. Sankshep mein Internet ne aaj manushya ke jeevan mein kranti laa di hai. Bhavishya mein Internet aaj ke aadhar par aur bhi adhik pragathishaali sevayein pradhan karne wala hoga
Similar questions
History,
8 months ago
Social Sciences,
8 months ago
Science,
1 year ago
Political Science,
1 year ago
Math,
1 year ago
India Languages,
1 year ago