Hindi, asked by aryankate05, 1 year ago

pragati ki aur bharat ke badhte kadam

Answers

Answered by SresthaAbhi
4
Namaskar mitra
Woh ek zamana aisa tha jab bharat to sone ki chidiyan ki upadhi di gayi thi. Uske pashchat bharat me door -door ke desho se log ane lage aur dheere - dheere unhone bharat me apna adhipatya sthapit kar dia. Wey, bharat me shasan karne lage aur bharatwasi unke isharo pe nachte they. Parantu jab unhone eeth ka jawab patthar se dena seekh lia tab sabhi shatru dal humare desh se palayan karne lage.......
Azadi ke itne warsho bad, aj bharat pragati ki or agrasar hai...Bharat ne vaigyanik kshetra me adbhut safalta prapt ki hai. Khel-kood me bhi bharat ke khiladi nipun hai. Is desh me hi aryabhatta ramanujan adi jaise mahan purusho ne janm lia hai. Bharat atma-nirbhar hai ..woh har kshetra me apna chap chod ke ja raha hai aur aise me bharat ke sone ko wo din mano firse lout a rahe..Bharat uthan ki or ja raha hai aur jald hi wishwa bhar me wo apna sthan bana lega
JAI JANANI
JAI HIND!
Similar questions