Hindi, asked by samri6ncessingla, 1 year ago

Prakritik sundarta ka varnan karte huee anuched likhiye

Answers

Answered by monu7bishnoi
0

Prakritik Sundarta

Saam ka samay aur main apna passport liye port immigration ki kataar mai  khada tha . Kuch der baad mere isthaan bhi aa gya . Adhikaari ne  saare dastawj dekh kar Immigarion ki muhar laga di . Maine us  musukurakr dhanyawaad bola aur age bad gya . Prakritik sundarta apne charam par thi . EK taraf thandi hawa bahti hui aur dusri taraf suraj ki halki tapan ek anokha romach bhar rahi thi .jahaj thodi der mai hi rawana hone wala tha . port ko hariyaali se achhi tarah sajaya gya tha . Waha ke sab log badhaayi ke patra the . Dheere dheere jahaz port harbor se bahar nikal ne laga . Samandar ki lahre use maano jholaa jhoola rhi ho . Aur baadlo ke beech se suraj ki halki roshni maano koi chitrakaar koi tasveer bana raha ho laal rang se . Tej kirne manohar drashiya darsha rahi thi . Sitiz par doubt asuraj aur jahaz ki gati maano koi jeevan ke pannea bata raho . Doobta suraj kah raha tha ki main phir kal aauga isi tej aur teevrta ke saath aur jahaz ki gati kah rhi thii sadav chalaymaan raho . manjil mil hi jaayegi . Haar nahi maan ni chahiye . Kahte hai ugate aur doobte suraj ke darshan jarur krne chahiye . Ankho ke liye laabh kaari hota  hai . Ab Taaro ki chunari saj khuki thi . itne tare main eek saath pahle kabhi nhi dekhe the . Saaf saaf taramandal aur uska pariwaar assmaan mai dhik raha tha . Unka tim timana jaise koi koi piyano baja raha ho.Chaand bhi  aisa lag raha tha ki jahaz ke  saath hi chal raha hai . Itna adbhoot tha wo sab dekhna . jo sirf TV aur filmo mai dikhta hai . paani ki aawaz aur jahaz ke engine ki aawaz koi jaise koi geeto ko sur de raha tha .  prakirti apne panch tatvo se manav ka savwagat kr rhi thi jaise. Sab kuch tha ek jeevan ke liye prakrti ke pass . bus wo manav ka saath chahti hai .

Similar questions