Purvi Bharat ke kisi Ek Vanya prani Sanrakshan Vibhag par vistrit jaankari Hasil karke ek pariYojana taiyaar ki jiye
Answers
purvi bharat ke hare bhare junglon mein anek vaya prani paye jate hain. asiyai hathi, bharatiya rhinoceros, tiger aur leopard vahan rahne vale kuch vishesh pashu hain.
wwf ek aisi sanstha hai jisne yahan ke vanya praniyon ke liye mahtvapoorn kaam karti hai. vanya praniyon ke sanrakshan ke liye usne tiin mukhya kadam uthaye hain.
1. indian rhino vision 2020
2.sonitpur aur udalguri kshetr mein manav aur hathi ki samasya ko hal krna
3. uttar purvi bharat mein wildlife crime control ke liye, ek suchna dene vala network.
assam mein wwf assam ki srkar aur international rhino foundation ke sath milkar, indian rhino vision 2020 ka kaam kar raha hai. uska uddeshya rhinos ki sankhya ko 3000 tk badhane ka hai.
rahne ki jagah aur jivan ke sadhanon ki kami ke karan manav aur hathi ki bhari samsya utpnn ho gayi hai. iske karan prativarsh assam mein badi sankhya mein manushyon aur hathiyon ki mrityu hoti hai. is samasya ko duur krne ke liye wwf forest departmen aur vahan rahne vale logon ke sath milkar kaam kar raha hai.
vanya praniyon se prapt hone vale utpad aur vyapar ke karan unka gair kanuni shikar kara jata hai. ise rokne ke liye wwf in suchna dene vale logon ka ek network banaya hai jo aisi hone vali ghatnao ke bare mein turant suchit krte hain. jisse unko rokna sambhav ho jata hai.
is prakar wwf vanya praniyon ke sanrakshan ke liye mahtvapoorn karya kar raha hai.