संवाद लेखन - सामान्य व्यक्ति और सफाई कर्मचारी के बीच संवाद लिखिए ।
Answers
Safai karmchari: are bhai sahab Jara aap kidhar se chale jaaiye Yahan per main Safai kar raha hun
Samanya vyakti: ji Jarur, parantu ek baat batayenge bhai sahab Agar aapko bura Na Lage To Main puchhu
Safai karmchari: ji puchiye
samanya vyakti: ji Aap Yahan kitne din kam Karte Hain
Safai karmchari: ji ismein Bura lagne wali Kaun si Baat thi Main Yahan Roj kam karta hun
Samanya vyakti: ji Roj aap ki Yahan Kabhi chhutti Nahin Hoti
Safai karmchari: ji nahin ab is kam Mein chhutti Kaisi
Samanya vyakti: Ji ek bhi Din chhutti Nahin Hoti to aap kam karne kitne baje aate ho Yahan per Mera matlab kab se kam karte ho aap
Safai karmchari: ji Subah 4:00 Baje Aata hun aur FIR din bhar Yahi per rahata hun aur raat ko Apne Ghar Ko Laut jata hun
Samanya vyakti: kya aap itna kaam karte hain kisi din Aaram bhi kar liya Kijiye main chalta hun aur han thankyou
Safai karmchari: ji thank u kis baat ki yah To Hamara kam hai
Samanya vyakti: fir bhi aap Itni mehnat karte ho isliye aur Hamare desh ko swachh rakhte Ek Bar aur thank you