CBSE BOARD X, asked by Rohit65k0935Me, 1 year ago

Samvad lekhan on usage of mobile phone. — in hindi only

IN 120 WORDS........

please help me

i will mark you as brainlist....

NOTE : don't use abuse language....only use daily life hindi.......and please don't go for pure hindi....

okk friends..... it will give u 20 points​

Answers

Answered by ssara
4

Ma: beta, tumhari dost renu ko kya ho gya? aaj kal tumse milne nahi aati.

Beti: ha ma, wo uska naya phone aya hai na, tabhi se wo esi ho gayi hai.

Ma: oh! aaj kal in mobile phone ke istemaal ne to sabko mansik roop se bigad diya hai.

Beti: ha ma, uske facebook par to 300 'friends' hai, par asal zindigi m usne sabse dosti tod li.

Ma: social media ke wajah se bachche apni aur apni parivaar ki khushiyan daw par laga rhe hai. wo sammaj se alag ho rhe hai aur apni hi ek alag duniya m jeene lage hai. isse unke mansik vikaasapr gehra asar pad skta hai.

Beti: sahi kaha ma, isliye to mene aapse phone ki zid nahi ki!

Ma: ha meri pyaari beti! yeh to bohot achcha hai ki tumne mobile phone ke durupyog ko achchi tarah se samjha!!


ssara: thanks for marking brainliest
Rohit65k0935Me: hmm
Similar questions