satsangti per nibandh 8th
Answers
satsangati ka Samanya artha h sajjan logo ki sangati arthat aisi sangati jo samaj ki najar me nek aur shishttapoorna ho. satsangati sabke naseeb me nahi hoti. ye sirf bhagyashali wyektio me naseeb me hoti h. ye name sumarg par chalne ko prerit karti h. iske Karan hamme dhairye, chama aur sahanubhooti jaisi sadbhawnai wiksit hoti h . iske prerit hokar neech se neech aur dusht se dusht wyekti me bhi badlaw as jaata h . isi ko sarhate hue tulsidas ji
ne kaha h- sath sugrahi satsangati Pai
Paras- paras kudhatu suhai
widhibas sujan kusangati parhi
fani-mani samnij gun anusarhi
paragraph change
is tarah satsangati ek wardan h Jo manaw jeevan ko swarga bana deti h . thik iske wiprit kusangati ek aisa abhishap ki bhati h Jo manaw jeevan ko naraktulya bana deti h. kusangati me padkar wyekti unnati me Marg me peeche rah jata h aur apne charitrik dosh ke karan samaj se bhi upexit rahta h. lekin satsangati ek aisa wardan aur saral Marg h jisse wyekti samaj me pad pratishta prapt karta h aur sukhad-anandayak jeevan jeeta h. atah aisi sukhkari aur hitkari Jo satsangati h use apnane ke liye hum satat prayatnasheel rahe aur samaj ke nek aur sajjan wyektio ke sath rehkar pratishthit jindagi jiye.
hope it helps ✌and
Please mark the answer as brainliest.