Hindi, asked by ATTITUDEMAYANK, 8 months ago

Sawan mahine par nibandh​ in hindi

Answers

Answered by prs9
0

Answer:

Savan ka mahina

Ek saal me barah mahine hote hain. English months bhi 12 hote hain aur hindi ke mahine bhi 12 hote hain. Isme se ek mahina hai 'savan'.

Savan ka mahina bahut hi suhana hota hai. Har taraf hariyali hi hariyali hoti hai. Is mahine me barish bhi kya jamkar hoti hai. Mano sara jag khushi se nachne lagta ho.

Isi mahine me bhagwan shankar ki somvari ka vrat bhi rakha jata hai, jisse aadmi, aurat, bachhe koi bhi rakh sakte hain. Savan me jhule jhulne ka bhi alag hi maza hai, qki is mahine ki Baat kuchh alag aur nirali hoti hai, hariyali ke bich me ped per agar jhula ho tab to aanand hi aanand hai.

Savan me barish khub hoti hai, is karan kide makodo ka bhi dar bana rahta hai. Lekin, ghr aur aas Paas ki saaf safai karte rahne se swashta bani rahti hai to iska khatra kam ho jata hai jisse bimari bhi hone ka dar nai rahta.

Waise har mausam ka apna maza hai aur apni kuchh khasiyat aur buraiyan hai.

Lekin kuchh bhi ho savan sabd se hi man me khushiyon ke favvare futne lagte hain. Aur kanhi kanhi to savan ke mele bhi lagte hai. Mujhe savan mahina bahut pasand hai.

Answered by mahi1298
0

Sorry I left brainly for a while.

I agree.

Similar questions