Hindi, asked by agarwalishaan58, 1 year ago

show off is not good on festivals in hindi

Answers

Answered by het
3
Aaj kal bharat main ek nayi pravruti ka chalan shuru hua hain--'DIKHAAVE' ki pravruti. Yah hamne aur kahi se nahi par doosre desho se hi sikhi hain. Agar aap acheche, mahange kapade nahi pahante ya aap saada jeevan vyatit karne main vishwas rakhte hain toh aapko gareeb ya anpadh ka darja deeya jaayega. Log deekhaave ki sanskruti se itne aakarshit hue hain ki bhale hi unke paas paise naa hon yaa paise k kami ho woh mahangi se mahangi cheesein khareedte hain. Shaadi jaise pavitra bandhan ko bhi log paiso ke dum par tolte hain. Shaadi agar dhoom-dhaam se naa hon to log ghar waalo ko gareeb kahte hain. Har ek tyohaaro main logo ke beech achche se achche dikhne tatha achche kapade evam saaman khareedne ki hod lagi rahti hain. Tyohaaro main ekta evam bhaichaara nahi balki logog ka ek doosre se upar uthne ki chaah dikhaayi deti hain. Deekhaave ki sanskruti ke karan garreb insaan aur gareeb hota jaa raha hain aur ameer insaan deekhava karne ke liye zyada se zyada paise kharch karne aur bigaad rahe hain. Deekhaave ki sanskruti logo ki tuchch evam choti maansikta ki aur roshni daalti hain.
Similar questions