English, asked by anitamandal, 1 year ago

sum up the poem taj mahal

Answers

Answered by sumanjali
0
Taaj tere liye ik mazhar-e-ulfat hi sahii
tujh ko is vaadii-e-rangeeN se aqeedat hii sahii
merii mehboob kahiiN aur milaa kar mujh se!

bazm-e-shaahii mein ghariibon kaa guzar kyaa ma’anii
sabt jis raah pe hon satwat-e-shaahii ke nishaan
us pe ulfat bharii ruuhon kaa safar kyaa ma’anii
merii mehboob pas-e-pardaa-e-tash_heer-e-vafaa
tu ne satwat ke nishaanon ko to dekhaa hotaa
murdaa shaahon ke maqaabir se behalne vaalii
apne taareek makaanon ko to dekhaa hotaa

anginat logon ne duniyaa mein muhabbat kii hai
kaun kahtaa hai ki saadiq na the jazbe un ke
lekin un ke liye tash_heer kaa saamaan nahiin
kyuun ke vo log bhii apnii hii tarah muflis the

ye imaaraat-o-maqaabir ye faseeleN, ye hisaar
mutla-qulhukm shahanshaahon kii azmat ke sutuun
daaman-e-dahar pe us rang kii gulkaarii hai
jis mein shaamil hai tire aur mire ajdaad kaa Khuun

merii mehboob! unhein bhii to muhabbat hogii
jinakii sannaa_ii ne baKhshii hai ise shakl-e-jameel
un ke pyaaron ke maqaabir rahe benaam-o-namuud
aaj tak un pe jalaa_ii na kisii ne qandeel

ye chamanzaar ye jamunaa kaa kinaaraa ye mahal
ye munaqqash dar-o-deevaar, ye mehraab ye taaq
ik shahanshaah ne daulat ka sahaaraa le kar
ham ghariibon kii muhabbat kaa uRaayaa hai mazaaq
meri mehboob kahiiN aur milaa kar mujh se!
Similar questions