Summary of poem stopping by woods on a snowy evening in urdu
Answers
Answered by
0
ye kis k peDon ka khet hai mujhe pata hai
vo gaon main rehta hai, usko pata nahin chalay ga
k main yahan ghoDay pe ruka hua dekh raha hun
uske baraf bhare khetoN ko
mera cHota sa ghoDa sochta hai k ye kya ajeeb baat hai
main yahan ruka hua hoon jahan sam biyabaan hai
in peDon k kheton aur jheel k beechsaal ki sab say bari kaali raat hai
vo saazo-o-samaan ko hilata hai aur ghanti bhajaae poochta hai
k main kisi galti main to nahin hoon
uski ghanti aur dheeray dheeray chalti hawa
aur halki si girti barf ki awaaz k siwaa, yahan sab kucH sun-saan hai
sab ghanae peD khoobsoorat hain
lakin main ne apne waday pooray karnay hain
aur sonay se pehlay bahut door jaana hai
bahut door jaana hai.
Similar questions